AGK Sangeet

Bairan Neend Na Aaye, Mohe Bairan Neend Na Aaye

Song Details

Name

Bairan Neend Na Aaye, Mohe Bairan Neend Na Aaye

Year

1959

Movie Name

Chacha Zindabad

Raag

Kafi

Music Director

Madan Mohan

Lyrics of Bairan Neend Na Aaye, Mohe Bairan Neend Na Aaye

bairan nind na aaye
bairan nind na aaye, mohe bairan nind na aaye
mora jiya ghabaraye
bairan nind na aaye, mohe bairan nind na aaye

suni padi meri palko ki galiya
suni padi meri palko ki galiya
kaun khilaye nindiya ki kaliya, apne bhi hain paraye
mohe bairan nind na aaye, bairan nind na aaye

lakh jatan karu aankh naa lage
lakh jatan karu aankh naa lage
so gayi kushiya aur ghum jage, ghayal man kit jaye
mohe bairan nind na aaye, bairan nind na aaye

yaad aaye jab pyar ki baate
yaad aaye jab pyar ki baate
aur bhi lambi ho jaye raate, bhor najar nahi aaye
mohe bairan nind na aaye, bairan nind na aaye