AGK Sangeet

Ham Pyar Me Jalne Valo Ko Chain Kaha, Haye, Aaram Kaha

Song Details

Name

Ham Pyar Me Jalne Valo Ko Chain Kaha, Haye, Aaram Kaha

Year

1958

Movie Name

Jailor

Raag

Khamaj

Music Director

Madan Mohan

Lyrics of Ham Pyar Me Jalne Valo Ko Chain Kaha, Haye, Aaram Kaha

hum pyar me jalnewalo ko
chain kahan, haye, aaram kahan
hum pyar me jalnewalo ko

preet ki adhiyari manzil me, charo aur siyahi
preet ki adhiyari manzil me, charo aur siyahi
aadhi raah me hi lut jaye, is manzil ka raahi
is manzil ka raahi
kaanto par chalnewalo ko
chain kahan, haye, aaram kahan
hum pyar me jalnewalo ko

bahalaye jab dil na bahle, to aise bahlaaye
bahalaye jab dil na bahle, to aise bahlaaye
gam hi to hain pyar ki daulat, ye kahkar samjhaye
ye kahkar samjhaye
apna man chhalnewalo ko
chain kahaan, haye, aaram kahan
hum pyar me jalnewalo ko