AGK Sangeet

Kya Janoo Sajan Hoti Hai Kya Gham Ki Shaam

Song Details

Name

Kya Janoo Sajan Hoti Hai Kya Gham Ki Shaam

Year

1967

Movie Name

Baharon Ke Sapne

Music Director

R D Burman

Lyrics of Kya Janoo Sajan Hoti Hai Kya Gham Ki Shaam

kya jaanoon sajan hoti hai kya gham ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam
kya jaanoon sajan hoti hai kya gham ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam
kya jaanoon sajan

kaanton me main khadi nainon ke dwaar pe
nis din bahaar ke dekhoon sapne
kaanton me main khadi nainon ke dwaar pe
nis din bahaar ke dekhoon sapne
chehre ki dhool kya chanda ki chaandni
utri to reh gayi mukh pe apne
kya jaanoon sajan hoti hai kya gham ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam
kya jaanoon sajan hoti hai kya gham ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam
kya jaanoon sajan

jabse mili nazar maathe pe ban gaye
bindiya nayan tere dekho sajna
jabse mili nazar maathe pe ban gaye
bindiya nayan tere dekho sajna
dhar li jo pyaar se meri kalaayiyaan
piya teri ungliyan ho gayi kangana
kya jaanoon sajan hoti hai kya gham ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam
kya jaanoon sajan hoti hai kya gham ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam
kya jaanoon sajan