AGK Sangeet

Kya Se Kya Ho Gaya, Bewafa Tere Pyar Me

Song Details

Name

Kya Se Kya Ho Gaya, Bewafa Tere Pyar Me

Year

1965

Movie Name

Guide

Raag

Khamaj

Music Director

Sachin Dev Burman

Lyricist

Shailendra

Lyrics of Kya Se Kya Ho Gaya, Bewafa Tere Pyar Me

kya se kya ho gaya, bewafa tere pyar me
chaha kya kya mila, bewafa tere pyar me

chalo suhana bharam toh tuta, jana ke husn kya hain
chalo suhana bharam toh tuta, jana ke husn kya hain
kahti hain jisko pyar duniya, kya chij kya bala hain
dil ne kya naa saha, bewafa tere pyar me
chaha kya kya mila, bewafa tere pyar me

tere mere dil ke bich abb toh, sadiyo ke fasale hain
tere mere dil ke bich abb toh, sadiyo ke fasale hain
yakin hoga kise ke ham tum, ek raah sang chale hain
hona hai aur kya, bewafa tere pyar me
kya se kya ho gaya, bewafa tere pyar me
chaha kya kya mila, bewafa tere pyar me