Name
Neela Aasman So Gaya
Year
1981
Movie Name
Silsila
Raag
Taal
YouTube Link
Singer
Music Director
Lyricist
Actor
Category
nila aasmaan so gaya, nila aasmaan so gaya ho
nila aasmaan so gaya
aansuo me chaand dooba raat murjhaayi
zindagi me door tak phaili hai tanhaayi
jo guzre ham pe woh kam hai
tumhaare gham ka mausam hai
nila aasmaan so gaya, nila aasmaan so gaya
yaad ki waadi me goonje bite afsaane
yaad ki waadi me goonje bite afsaane
hamsafar jo kal the ab thehre woh begaane
mohabbat aaj pyaasi hai, badi gehri udaasi hai
nila aasmaan so gaya ho nila aasmaan so gaya
nila aasmaan so gaya, nila aasmaan so gaya
nila aasmaan so gaya